Uss chand ka door nagar main basaira rehnay laga.
Phir shaam se apnay mann main andhaira rehnay laga.
ujri hui galiaan chup chup pairr satanay lagay.
dukhi jee k behlnay k saray bahanay thikanay lagay.
bara taroon bhara sahi khoob basa sahi neel gugan.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
aag ki aanch pe khud ko hamesha jalaya karein.
subah talak yoon poh raat ka saath nibhaya karein.
iss aag k hathoon ujaray nagar abaad hain ban.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
Dil aap hi aap kurhta rahay faryaad karay.
kiya qaol o qarar huay thay kahan tak yaad karay.
jab hum ne kaha tha dikhna bhool na jana hamain.
bhala kis ne kaha tha samjho na tum begaana hamein.
hamein yaar raha tumhain yaad nahi woh aik wachan.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
ab khat na sandaisa na batain na mulaqatain hain.
bas jaltay sulgatay din hain to be kal si ratein hain.
aor dil ka yeh haal k aor kurhay samjhanay per.
hum khud bhi bohat heraan hain iss dewanay per.
iss mann ko laga andar bhi gehan aor bahir bhi gehan.
kiyoon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
Is kheil main hum haan haar gaye wohi jeet gaye.
woh jo daur bhula k preet gaye sub beet gaye.
Ab jeetay hain per iss zindgi main ab na rang na raas.
sukh chain ki ik ghari ko gai hai jaan taras.
baray khoob hain log k khush hain aor khud main magan.
kioon chand ki khoj main khoya rahay bhatka hua mann.
jo beet gai so beet gai ab haal e dil kiyoon kehtay hain.
raat main andhairay aor din main dard kioon sehtay hain.
mann ke andar mann k bahir pal pal bechain rehtay hain.
jo dil ko hum sambhalain to tap tap aansoo behtay hain.
apnay dil ki dharknoon ki bas ek hi hai dhun.
kioon chand ki khoj main khoya rahay bhtka hua mann
No comments:
Post a Comment