Monday, November 22, 2010

Baarhaa aise bhi apne dil ko behlana para

Baarhaa aise bhi apne dil ko behlana para.
Sham-e-tanhahi mein yadon se lipaT jana para.
Har dafha pahli shana-sahiyan na yaad aayeen use;
Har dafha apna taharruf phir se karvana para.
Reza reza ho gaye hain aaj mere Khwaab phir;
Aaj ek patthar se phir sheeshe ko takrana para.
Na-rasahiyon ki thakan ne kar diya halkan phir;
Dasht se nikle to vaapis dasht mein aana para.
Phir bhi ham ne aql ko rahbar nahien mana 'Jaleel';
Dil ke go har faisile par hameen pachtana para.

No comments:

Popular Posts