Monday, November 22, 2010

Mere Khwabon ke jharokon ko sajane wali

Mere khwabon ke jharokhon ko sajane wali..............
Tere khwabon mein kahin mera guzar hai ke nahin......
Poochkar apni nigahon se bata de mujhko................
Meri raton ke muqaddar mein sehar hai ke nahin........
Char din ki ye rafaaqat jo rafaaqat bhi nahin............
Umr bhar ke liye azaar hui jaati hai........................
Zindagi yun to hamesha se pareshan si thi...............
Ab to har sans giraanbaar hui jaati hai.....................
Meri ujadi hui neendon ke shabistanon mein.............
Tu kisi khwaab ke paikar ki tarah ai hai...................
Kabhi apni si, kabhi ghair nazar ai hai.....................
Kabhi ikhlaas ki moorat, kabhi harjai hai..................
Pyar par bas to nahin hai mera, lekin phir bhi............
Tu bata de ke tujhe pyar karoon ya na karoon..........
Tu ne khud apne tabassum se jagaya hai jinhen........
Un tammannaon kaa izhaar karoon ya na karoon.......
TU kisi aur ke daman ki kali hai lekin.......................
Meri raatein teri khushboo se basi rehti hain.............
Tu kahin bhi ho tere phool se aariz ki kasam..............
Teri palkein meri aankhon pe jhuki rehti hain.............
Tere haathon ki haraarat, tere saanson ki mehak.......
Sar'sarati rehti hai mere zahen ki pahnai mein...........
Dhoondhti rehti hain takhayeel ki bahein tujhko.........
Sard raaton ki sulagti hui tanhai mein.....................
Tera altaaf-o-karam ek haqeeqat hai magar.............
Ye haqeeqat bhi haqeeqat mein fasana hi na ho........
Teri maanoos nigahoun ka ye mohtaat payaam.........
Dil ke khoon karne ka ek aur bahana hi na ho............
Kaun jane mere imroz ka farda kya hai....................
Qurbatein badhke pashemaan bhi ho jati hain...........
Dil ke daman se lipati hui rangeen nazrein................
Dekhte dekhte, anjaan bhi ho jaati hain..................
Meri darmaanda jawani ki tamannaon ke..................
Muzmahil khwaab ki taabeer bata de mujhko.............
Tere daaman mein gulistaan bhi hain, veraane bhi......
Mera haasil, meri taqdeer bata de mujhko................
Mere khwabon ke jharokhon ko sajane wali..............
Tere khwabon mein kahin mera guzar hai ke nahin......
Poochkar apni nigahon se bata de mujhko................
Meri raton ke muqaddar mein sehar hai ke nahin........
~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.

No comments:

Popular Posts