Monday, November 22, 2010

Mein khayaal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai

Mein khayaal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-aaenaa mera aks hai, pass-e-aaena koi aur hai 

Mein kisi ke dast-e-talab mein hoon tu kisi ke harf-e-dua mein hoon
Mein naseeb hoon kisi aur ka, mujhe maangta koi aur hai 

Kabhi laut aayain tu na poochna sirf dekhna bare gaur se
Jinhain raastay mein khabar huwi ke yeh raasta koi aur hai 

Ajab aitbaar-ba-aitbaari ke darmeyaan hai zindagi
Mein qareeb hoon kisi aur ke mujhe jaanta koi aur hai 

Wohi munsifoon ki riwayattain wohi faisaloon ki ibarattain
Mera jurm tu koi aur thaa per meri saza koi aur hai

Teri raushni meri khado-khaal se mukhtalif tu nahee magar
Tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai 

Jo meri riyazzat-e-neem shab ko 'Saleem' subah na mil saki
Tu phir is ke maeni tu yeh huwe ke yahaan Khuda koi aur hai ...

No comments:

Popular Posts