Dil mein ek lehar si uthi hai abhi.
Koi taza hava chali hai abhi.
Shor barpa hai Khana-e-dil mein;
Koi divar si giri hai abhi.
Kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi;
Aur ye choT bhi nayi hai abhi.
Bhari duniya mein ji nahien lagta;
jaane kis cheez ki kami hai abhi.
Tu shareek-e-suKhan nahien hai to kya;
Ham-suKhan teri Khaamoshi hai abhi.
Yaad ke be-nishaan jazeeroon se;
Teri aavaz aa rahi hai abhi.
Shehar ki be-chiraaGh galiyoon mein;
Zindagi tujh ko DhuunDhti hai abhi.
So gaye loug us haveli ke;
Ek khiRki magar khuli hai abhi.
Tum to yaro abhi se uTh baiThe;
Shehar mein raat jagti hai abhi.
Vaqt achha bhi aayega 'Nasir';
Gham na kar zindagi paRi hai abhi.
No comments:
Post a Comment