Monday, March 1, 2010

Aankh Ban Jati Hay Sawan Ke Ghata Shaam Kay Baad


Aankh Ban Jati Hay Sawan Ke Ghata Shaam Kay Baad
Lout Jata Hay Ager Koee Khafa Shaam Kay Baad


Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Say Bala Shaam Kay Baad
Koee Tu Tha Keh Jo Deta Tha Dua Shaam Kay Baad


Aahain Bharti Hay Shab -e- Hijar Yateemo Ke Tarah
Sard Ho Jati Hay Har Roz Hawa Shaam Kay Baad


Shaam Tak Qaid Raha Kartay Hain Dil Kay Andar
Dard Ho Jatay Hain Saray He Reha Shaam Kay Baad


Log Thak Haar Kay So Jatay Hain Lakin Jana
Ham Nay Khush Ho Kay Tera Dard Saha Shaam Kay Baad


Shaam Say Pehlay Talak Laakh Sulayey Rakhay
Jaag Uthti Hay Mohabbat Ke Ana Shaam Kay Baad


Khowab Takra Kay Palat Jatay Hain Band Aankhoon Say
Janay Kis Jurm Ke Kis Ko Hay Saza Shaam Kay Baad


Chaand Jab Ro Kay Setaroon Say Galay Milta Hay
Ak Ajab Rang Ke Hoti Hay Fiza Shaam Kay Baad


Ham Nay Tanhaii Say Pucha Keh Milo Ge Kab Tak
Us Nay Be-chaini Say Foran He Kaha Shaam Kay Baad


Main Ager Khush Bhi Rahoon Pher Bhi Meray Seenay Main
So-gawari Koee Roti Hai Sada Shaam Kay Baad


Tum Gaye Ho Tu Siya Rang Kay Kapray Pehnay
Phirti Rehti Hay Meray Ghar Main Qaza Shaam Kay Baad


Lout Aati Hay Meri Shab Ke Ebadat Khali
Janay Kis Arsh Pay Rehta Hay Khuda Shaam Kay Baad


Din Ajab Muthi Main Jakray Howay Rakhta Hay Mujhay
Mujh Ko Is Baat Ka Ahsaas Howa Shaam Kay Baad


Koee Bhola Howa Ghum Hay Jo Musalsal Mujh Ko
Dil Kay Pataal Say Deta Hay Sada Shaam Kay Baad


Maar Deta Hay Ujar Janay Ka Dhora Khayal
Kaash Koee Kisi Say Na Ho Juda Shaam Kay Baad
__________________

No comments:

Popular Posts