Monday, March 1, 2010

Wafa ke mousam ke saare manzar


Wafa ke mousam ke saare manzar bas kitabon main reh gaye hain
Magar jo dil main jaley huay the charaagh raaton main reh gaye hain


Mohabaton ka sunaheri aanchal tu kab ka sir se uter chuka hai
Ye kis ki chahat ke rang hain jo kahin gulabo main reh gaye hain


Ye kaise rangon ki aahatain hain jo apni janib bula rahi hain
Wagar na khushbu ke rang saare hava ke haathon main reh gaye hain


Kahin jo yaadon ki titliyan thin kabhi ki phoolon se urr chuki hain
Magar wo dhudley aks hain jo kisi ke khuwabon main reh gaye hain


Tumhari baaton main jab se shayed wafa ka matlab badal gaya hai
Tu saare dukh ke azab lamhey humari aankhon main reh gaye hain


******************

No comments:

Popular Posts