Log kiyo bas ke ujartey hain kabhi socha hai
Kis liye jan se guzartey hain kabhi socha hai
Kaise palkon ki lerazti hue munderon per
Sainkron deep chamaktey hain kabhi socha hai
Go bahaaron main chaman hote hain aabad magar
Phool paamalii se dartey hain kabhi socha hai
Rang chehray ka badal jata hai pal bher ke liye
Log jab baat badaltey hain kabhi socha hai
Jo nazar aatey hain aaiina si poshakon main
Wo bhi matti main utertey hain kabhi socha hai
Naarsaii se nahi merta koi , maan liya
Dil main aarey se jo chaltey hain kabhi socha hai
No comments:
Post a Comment