miTTi ki imarat saya dekar miTTi main hamvar hui
viraani se ab kaam hai aur virani kis ki yaar hui
Dar-Dar ke qadam yuN rakhataa huN Khvaabon ke sahara main
ye reg abhii zanjir bani ye chaNv abhii divaar hui
har patti bojhil ho ke giri sab shaKhen jhuk kar TuuT ga'in
us barish hi se fasal ujrii jis barish se taiyar hui
ab ye bhi nahin hai bas main k ham phulon kii Dagar par lauT chalain
jis rah_guzar par chalana hai vo raah_guzar talavar hui
choti hai zara jab tan ko hava chubhte hain ragon main kaNTen se
sau baar KhizaN aai hogii mahasus magar is baar hui
vo naale hain betabii ke chiiKh uThata hai sanaTa bhii
ye dard kii shab malum nahin kab tak ke liye bedaar hui
likhi hain shikasten itani jahaN maqtal main vahaN ye bhi likh do
kitanii sham_shiren TuuT gain kitane dushmanon kii haar hui
ab Gair hava kitani hii chale ab garm fizaa kitani hi rahe
siine kaa zaKhm charaG bana daman kii aag bahaar hui
No comments:
Post a Comment