Monday, March 1, 2010

Sab khuloos baaton mei sab karam khayalon mei


Sab khuloos baaton mei sab karam khayalon mei,
Bas zara wafa kam hai tere shehar walon mei.

Pehli baar nazaron ne chaand boltay dekha,
Ham jawab kya dete kho gaye sawalon mei.

Raat teri yaadon ne dil ko iss tarha chhera,
Jaise koi chutki le naram naram gaalon mei.

Yun kisi ki ankhon mei subha tak thay ham,
Jis tarha rahe shabnam phool ke piyalon mei.

Meri aankh ke taaray ab na dekh pao gaye,
Ham raat ke musafir thay kho gaye ujalon mei..!

No comments:

Popular Posts