Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar
jo Sunaaii De Usey Chup Sikha jo Dikhaaii De Usey Khwaab Kar
Abhi muntashi Na ho Ajnabii Na Wisaal rutt Ke Karam jatta
jo Teri Talash Mein gum hoye Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar
Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pe Ye Abr Kyoun
mujhey orhnay De Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar
Kahien Aablon Ke Bhanwar Bajien Kahien Dhuup Ruup Badan Sajien
Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj De Kabhi Chashm e Tar ke Chanaab Kar
Yeh HAjoom e Sitam-GaraaN Na Suney Ga Teri Sada Kabhii
Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Se Khataab Kar
Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar hai Tahii Dasta Yaar Saja Isey
koi Ashk Phir Se Sharar Bana koii Zakhm Phir Se gulaab Kar
_________________
No comments:
Post a Comment