Thursday, April 1, 2010

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

agar aur jeete rehte yahee intezaar hota



tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa

ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota



teree naazukee se jaana ke bandha tha 'ehed_booda

kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota



koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko

ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota



ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh

koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota



rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta

jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota



gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai

gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota



kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai

mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota



hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya

na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota



usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa

jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota



ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan faysal

tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota





_________________

No comments:

Popular Posts