Thursday, April 1, 2010

Sar-e-taq-e-jan Na Chiragh Hai,Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi

Sar-e-taq-e-jan Na Chiragh Hai,Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi,

Ujab Ek Arsa-e-daraz Hai,Na Guman Hai Na Khabar Koi.



Nahin Aab To Koi Malal Bhi,Kisi Wapsi Ka Khiyal Bhi,

Gham-e-baikasi Ne Mita Diya,Meray Dil Main Tha Bhi Aagar Koi.



Tujhay Kia Khabar Ke Raat Bhar,Tujhay Daikh Paanay Ko Ek Nazar,

Raha Sath Chand Kay Muntazar,Teri Khidkion Ke Udhar Koi.



Sar-e-shakh-e-jan Teray Naam Ka,Ujab Ek Taza Gulab Tha,

Jisay Aandhi’on Se Khatar Na Tha,Jisay Tha Khizan Ka Na Daar Koi.



Teri Bairukhi Kay Diyar Main,Ghani Tairgi Ke Hisar Main,

Jalay Kis Tarah Se Chiragh-e-jan,Karay Kis Taraf Ko Safar Koi.



Katay Waqt Chahay Aazab Main,Kisi Khuaab Main, Ya Sarab Main,

Jo Nazar Se Door Nikal Giya,Usay Yaad Karta Hay Har Koi.



Sar-e-bazm Jitnay Chiragh Thay,Woh Tamam Ramz Shanas Thay,

Teri Chashm-e-khush Ke Lihaz Se,Nahin Boolta Tha Magar Koi





_________________

No comments:

Popular Posts