Thursday, April 1, 2010

Yeh charahg-e-be nazar yeh sitara be zuban hai

Yeh charahg-e-be nazar yeh sitara be zuban hai

Abhi tujh se milta julta koi doosra kahan hai??



Kabhi pa k tujh ko khona, kabhi kho k tujh ko pana

Yeh janam janam ka rishta tere mere darmiyan hai



Mere sath chalne wale, tujh kia mila safar mein

Wahi dukh bhari zameen hai wahi ghum ka aasman hai



Mein isi gumaan mein bara mutmayin raha hun

Tera jism be taghayur, mera pyar jawidan hai



Inhi raston ne jin per kabhi tum the sath mere

Mujhe rok rok poocha tera humsafar kahan hai???

No comments:

Popular Posts