Thursday, April 1, 2010

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

kitane chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baad



Itne chup-chaap ke raste bhi raheinge laa-ilm

Chor jaayeinge kisi roz nagar shaam ke baad



Main ne aise hi gunaah teri judai mein kiye

Jaise tufaan mein koi chor de ghar shaam ke baad



Sham se pahle vo mast apni uraanon mein raha

Jis ke hathon mein the tote hue par shaam ke baad



Raat biti to gine aable aur phir socha

Kaun tha baa_is-e-aaghaz-e-safar sham ke baad



Tu hai sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh

Tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad



Laut aaye na kisi roz wo aavara mizaaj

Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad

No comments:

Popular Posts