Saturday, May 1, 2010

Aankhoon main raha dil main uter kar nahi dekha

Aankhoon main raha dil main uter kar nahi dekha
Kashti kay musafer nay sumander nahi dekha 

Bay waqt ager jaon ga sub chonk paray gay
Ak umer hoe din main kabhi ghar nahi dekha 

Jis din say chala hoon meri manzel pey nazer hay
Aankhoon nay kabhi mail ka pather nahi dekha 

Yah phool mujhay warasat main melay hain
tum nay mera kantoon bhara bister nahi dekha 

Mahboob ka ghar ho ya buzurgoon ke zameen
Jo choor dia pher usay mur kar nahi dekha 

Khat easa likha hay kah nageenay say juray hay
In hatoon nay lakin koe zever nahi dekha 

Pather mujhay kahta hay mera chahanay wala
Main moum hoon us nay mujhay choo kar nahi dekha 

Wo meray masaael ko samaj hi nahi sakta
Jis nay meri aankhoon main sumander nahi dekha

No comments:

Popular Posts