Saturday, May 1, 2010

Zindagi main meri ye ajab morr hai aya

Zindagi main meri ye ajab morr hai aya
who shaks bhi kho gaya jisey tha mudaton main paya

uss ka masoom sa chera meri nigahon ko bhaya
iss pasandeedgi ney to isqh ka hai rogg lagwaya

kabhi jo hasney hasaney ki baat kerta tha mujh sey
aaj us ki narazgi ney mujhey betahasha rulaya

who na mana to pall main bikher jaongi main
dill hota hai who gher jo ujra to kissi ney na basaya

uss ki udassi per dil ko na kiuon udaas karoon
jee ney merey bhi to hai ussey shidat sey caha

is qader aadat hogaee hai mujhey us ki
kano main ahat aati hai, nazar aata hai deewaar per saya

khayaalon main tazaad baton main kafgi agaee hai
darr lagaq hai mann ko kahin who ho jaey na paraya

samney labb uss key khamosh hojatey hain faysal key
warna tasawur main tha main ney usey khub manaya

No comments:

Popular Posts