Saturday, May 1, 2010

Wo shaks hum se bhulaea na gaya

Wo shaks hum se bhulaea na gaya
Ek pathar raaste se hataea na gaya

Azmaeshon me tamam dukh dab gae
Magar us ka dukh kahin chupaea na gaya

Abshar tasawur me ek ansoo kya girra
Waesa mahol hum se sajaya na gaya

Kisi parinde ki tarha thaka hara hun main
Tuta jab ashiyana phir banaya na gaya

Hoslon me pehli si takat na rahi
Khud apna hi boj uthaya na gaya

Mohabat ki bazi me har chuka hun
Yeh sakhan dil ko samjhaya na gaya

Inhi raaston par katte gi umar apni
Mujhe jis manzil ka patta bataya na gaya

No comments:

Popular Posts