Saturday, May 1, 2010

mere hum nafaz mere hum nawa mujhe dost ban ke dagha na de

"mere hum nafaz mere hum nawa mujhe dost ban ke dagha na de
may hoon dard-e-ghum se jaan balab mujhe zindagi ki dua na de

may gham-e-jahan se nidhal hoon ke srapaye huzn-o-malaal hoon
jo likhe hain mere naseeb may wo alm kisi ko khuda na de

na yeh zindagi meri zindagi na yeh dastan meri dastan
may khayal-o-wehem se door hoon mujhe aaj koi sada na de

mere gher se door hain rahatein mujhe dhoondti hain musibaten
mujhe khauf yeh hai ye ke mera pata koi gardishon ko bata na de

mujhe chhorde mere haal per tera kiya bharosa aye chara ger
teri yeh nawazish mukhtasir mera derd too aur barha na de

mera azam itna buland hai ke paraye sholon ka dar nahi
junaid ka khauf aatish-e-gul se hai ke yeh hi chaman ko jala na de

No comments:

Popular Posts