Saturday, May 1, 2010

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh
Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh
Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh
Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai
Ae Khud main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi
Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu
Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai
Dard kitne hain bata nahin sakta
Zakhm kitne hain dikha nahin sakta
Ankhon se samjh sako tu samjh lo
Ansoon gire hain kitne gina nahin sakta

No comments:

Popular Posts