Saturday, May 29, 2010

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala, 
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala, 

Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera, 
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala, 

Kya Kahein Kitne Marasim The Hamare Isse, 
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaane Wala, 

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya, 
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala, 

Muntazir Kiska Hoon Tooti Hui Dehliz Pe Main,
Kaun Aayega Yahan Kaun Hai Aane Wala, 

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte, 
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Batane Wala, 

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna, 
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala, 

Tum TaQalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz', 
Dost Hota Nahi Har Haath Milane Wala...

1 comment:

aileen said...

Yes i found my favorite ghazal.Thanks so much

Popular Posts