ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagair
janega ab bhi tu na mera ghar kahe bagair
kahte hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
janun kisi k dil ki main kyunkar kahe bagair
kam us se a para hai k jisaka jahan mein
lewe na koi nam sitamagar kahe bagair
ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna ham
sar jaye ya rahe na rahen par kahe bagair
chorunga main na us but-e-kafir ka pujana
chore na khalq go mujhe kafir kahe bagair
maqsad hai naz-o-gamza wale guftagu mein kam
chalta nahi hai, dashna-o-khanjar kahe bagair
har chand ho mushahida-e-haq ki guftagu
banti nahi hai bada-o-sagar kahe bagair
bahra hun main to chahiye duna ho iltfat
sunta nahi hun bat muqarrar kahe bagair
"ghalib" na kar huzur mein tu bar-bar arz
zahir hai tera hal sab un par kahe bagair
No comments:
Post a Comment