Thursday, May 13, 2010

hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle


hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle

dare kyun mera qatil kya rahega usaki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle

nikalna khuld se adam ka sunte aye hain lekin
bahut be-abaru hokar tere kuche se ham nikle

bharam khul jaye zalim tere qamat ki darazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle

magar likhwaye koi us ko khat to hamase likhawaye
hui subah aur ghar se kan par rakkhar qalam nikle

hui is daur mein mansub mujhse bada-ashmi
phir aya wo zamana jo jahan se jam-e-jam nikle

hui jinse tawaqqo khastagi ki dad pane ki
wo hamse bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam nikle

muhabbat mein nahi hai farq jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle

zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle

Khuda k waste parda na kabe se utha zalim
kahi aisa na ho yan bhi wahi kafir sanam nikle

kahan maikhane ka darwaza 'ghalib' aur kahan waiz
par itna jante hain kal wo jata tha k ham nikle

No comments:

Popular Posts