hai bas k har ik un k ishare mein nishan aur
karte hain muhabbat to guzarta hai guman aur
ya rab wo na samjhe hain na samajhenge meri bat
de aur dil un ko jo na de mujhko zuban aur
abaru se hai kya us nigah -e-naz ko paiband
hai tir muqarrar magar us ki hai kaman aur
tum shahar mein ho to hamein kya gam jab uthenge
le ayenge bazar se jakar dil-o-jan aur
har chand subukdast hue butshikni mein
ham hain to abhi rah mein hai sang-e-giran aur
hai khun-e-jigar josh mein dil khol k rota
hote kai jo dida-e-khunnabafishan aur
marta hun is awaz pe har chand sar ur jaye
jalad ko lekin wo kahe jaye k han aur
logon ko hai khurshid-e-jahan tab ka dhoka
har roz dikhata hun main ik dag-e-nihan aur
leta na agar dil tumhen deta koi dam chain
karta jo na marta koi din ah-o-fugan aur
pate nahi jab rah to char jate hain nale
rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur
hain aur bhi duniya mein sukhanawar bahut ache
kahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur
No comments:
Post a Comment