hairan hun dil ko roun k pitun jigar ko main
maqadur hun to sath rakhun nauhagar ko main
chora na rashk ne k tere ghar ka nam lun
har ek se puchta hun k jaun kidhar ko main
jana para raqib k dar par hazar bar
ai kash janta na teri rahguzar ko main
hai kya jo kas k bandhiye meri bala dare
kya janta nahi hun tumhari kamar ko main
lo wo bhi kahte hain k ye benang-o-nam hai
ye janta agar to lutata na ghar ko main
chalta hun thori dur har ik tez rau k sath
pahchanta nahi hun abhi rahbar ko main
khwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar
kya pujta hun us but-e-bedadagar ko main
phir bekhudi mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar
jata wagarna ek din apni khabar ko main
apne pe kar raha hun qiyas ahal-e-dahar ka
samjha hun dil pazir mata-e-hunar ko main
"ghalib" Khuda kare k sawar-e-samand-e-naz
dekhun ali bahadur-e-aliguhar ko main
No comments:
Post a Comment