har ek bat pe kahte ho tum k tu kya hai
tumhin kaho k ye andaz-e-guftagu kya hai
na shole mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai
ye rashk hai k wo hota hai hamsukhan hamse
wagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya hai
chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamari jeb ko an hajat-e-rafu kya hai
jala hia jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab rakh justaju kya hai
ragon mein daurate phirne k ham nahi qayal
jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai
wo chiz jis k liye ham ko ho bahisht aziz
siwae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya hai
piyun sharab agar khum bhi dekh lun do char
ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hai
rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye k arazu kya hai
bana hai shah ka musahib, phire hai itarata
wagarna shahar mein "ghalib" ki abaru kya hai
No comments:
Post a Comment