Bhaley Dinon ki baat hai
Bhali si aik Shakal thi...
Na yeh ke husn-e-taam ho
Na deekhney mein aam si...
Na yeh ke woh chaley tou, kehkishaan si rahguzar lagey
Magar woh sath ho tou phir bhala bhala safar lagey...
Koi bhi rut ho us ki chub fiza ka rung roop thi
Woh garmion ki chaoon thi, Woh sardion ki Dhoop thi...
Na aisi khush libaasian ke sadagi gila karey
Na aisey be takallufi ke aina haya karey...
Na aashqi janoon ki ke zindagi azaab ho
Na is qadar kathoor pan ke zindagi kharaab ho...
So ik rooz kia howa, wafa ki behas chirr gai
Main ishq ko amar kahoon, Woh meri zidd se chirrd gai...
Main ishq ka aseer tha, Woh ishq ko qafas kahey
Ke umer bhar ke sath ko woh bad'taraz hawis kahey...
Na us ko mujh pe maan tha, Na mujh ko us pe zoem hi...
Jub ehad bhi koi na ho, Tou kia gham-e-shikastagi...
So apna apna raasta hansi khushi badal liya
Woh apni raah chal pari main apni raah chal para...
Bhali si us ki shakl thi, Bhali si us ki Dosti
Ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi...
No comments:
Post a Comment