Wednesday, June 30, 2010

jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay


jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
jo rach jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay

baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
gamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay

nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
barastay badlon ki aas mein trsa nahi kertay

tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay

teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay

No comments:

Popular Posts