Wednesday, June 30, 2010

haath uthay hain magar lab pe dua koi nahin


haath uthay hain magar lab pe dua koi nahin
ki ibadat bhi woh jis ki jaza koi nahin

yeh bhi waqt ana tha ab to gosh har awaz hai
aur mere barbad-e-dil main sada koi nahin

aa ke ab tasleem kar lein tu nahin to main sahi
kaun maneyga ke hum mein bevafaa koi nahin

waqt nay woh Khak uraii hai ke dil ke dasht se
qafiaye guzare hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin

Khud ko yun mahasur kar baitha hoon apani zaat mein
manzilein chaaron taraf hai rastaa koi nahin

kaise rastoon se chale aur kis jagah pahunchay 'Faraz'
yaa hujoom-e-dostaan thaa saath yaa koi nahin

No comments:

Popular Posts