zakhm-e-tanhai me.n khushbu-e-hina kisaki thi
sayaa dewar pay mera tha sada kisaki thi
uski raftar se lipati rahi meri aankhain
us ne mur kar bhi na dekha ki wafa kis ki thi
waqt ki tarah dabe paon ye kaun aya hai
main andhera jisay samajha woh qaba kis ki thi
ansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
hath to main ne uthaaye the dua kisaki thi
meri aahon ki zaban koi samajhata kaise
zindagii itani dukhi meray siva kisaki thi
aag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur Khata kisaki thi
main ne biina_iyaa.N bo kar bhi andheray katay
kis ke bas mein thi zameenn abr-o-hava kis kii thii
chhor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniyaa
justjuu si tujhe har waqt bata kisakii thii
No comments:
Post a Comment