kia khata meri thy zalim tu nain kune tora mujhe
kune na meri umar bhar ki shakh pe chora mujhe
meri khushboo se bichai ga bichona raat bhar
subha hogi phaink de ga tu khaak par
patiyan urti phireen gy kho jain gy
rafta rafta khak mein miljain gy
tu nain meri jaan li dam bhar ki zeenat ke lyay
ki jafa mujh se faqat thori si farhat ke lyay
gham se bhanwre royain ge aur bulbulain chilain gy
jab woh laakh dhoondne ke bawajood mujh ko na pain gy
koi kehta hai soch le samajh le maan le
dil kisy ka torna accha nahin tu jaan le
1 comment:
ye bahot purani nazm hai 60 se zyda purani. logon ko to ab sahi yaad bhi nahi hai.
Mirza Anwar Baig
Post a Comment