Tuesday, June 29, 2010

Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee

Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee
mudatein huwen ek shamma yahan jala karti thee

Kya baat huee keh aaj sar-e-sham band ho gayee
Ek khirrkee jo kabhi ta sehar khula karti thee

Sehamta hai dil kyoon ab ki bar is toofan mein
Garajte the badal bijli pehlay bhee gira karti thee

Kuch rang yaas me kusht-e-armaan ka hai warna
Na-omeedi is dil se door hee raha karti thee

Khata meri hee thee jo dunya se dil laga baitha
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi se wafa karti thee

Main un se kah raha hoon mujhe yaad kijiye
Kabhi meri yaad jin ki dharrkan huwa karti thee

Dekho aaj ham un ki dunya me shamil hee nahin
Jin ki dunya kabhi bas ham se huwa karti thee
 

No comments:

Popular Posts