najaney kitney hi besamar maah o saal pehley
bahaar ki sabzposh gulzar sa`aton mein
kisi say tum nay gulab lehjay mein kya kaha tha
jisey kisi nay diya bana kar
kuchh is tarah dil kay taaqchey mein saja liya tha
kay zindagi bhar gham-e-jahan kay taveel tareek raston ko
zara sa roshan, zara sa aasan bana liya tha
jab apni raahein alag huween theen
ajab qayamat ka dard tha woh
koi bhi darmaan` baham naheen tha
magar tumhara yeh aik ehsaan kam naheen tha
kisi sey tum ney gulab lehjey mein jo kaha tha
tumhein to ab yaad bhi na hoga
magar yahan
saz, dil, lahoo, lafz aur lehja
tamaam khwaab o khayal merey
woh sab adhoorey sawaal merey
woh sab guzashta kamaal terey
jalaal terey, jamaal terey
terey woh fiqrey
teri woh baatein
terey woh lehjey
hamari saanson mein jaagtey hein
hamari neendon mein jaagtey hein
charaagh-e-jaan mein woh roshni hein
ke dil kabhi bujh na paayega
yeh sari saansein teri amaanat hein
saarey lamhey teri amaanatn hein
sari ghariyan teri amanat hein
No comments:
Post a Comment