Saturday, June 5, 2010

Taluk is tera tora nahi krty

Taluk is tera tora nahi krty 
Kay phir se jorna doshwar ho jay 
Hayat ek zehar mainn dobi hui talwar ho jay 
Mohabat is tera chora nahi krty 

Khafa hony ki rasmen hn 
Bigarny k tareeqy hain 
Riwaj-o-tark-e-rasm-e-dosti p so kitaben hain 
Rawadari ka her giz rasta chora nahi kertay 
Taluk is tera tora nahi krty 

Kabi bulbul guloon ki khamoshi se roth jati hai 
Per agly sal sab kuch bhol ker phir lot ati hai 
Sabi bhanwron ko gul herjai kehtay hain 
Mgar thori si zid kay baad bandhan khol detay hain 
Mohabt mn sabi ik dosry ko azmaty hn 
Mgar aesa nahi kertay 

Kay her umeed her imkan mit jay 
Kahan tak khenchni hai door ye andaza rakhty hain 
Hamesa char diwari mn ik darwaza rakhty hain 
Judai mustakil ho jay 
To ye zindagi zindan ho jay 
Agar khushboo hawaoon s marisim monkita ker lay 
To khud mn toot ker be jan ho jay 
Suno 
Jeeny se mon mora nahi krty 
Mohabt is tera chora nahi krty

No comments:

Popular Posts