sitarey toot ker jaatey kahan hain
falak ki shakh sey jhartey hue ye atlasi patey
zameen ki simt aatey hain tu in ki aakhri sansein
damakti aur chamakti roshni key
lehrion ki shakl mein chalti hein
bazahir aisa lagta hai
wahan
basti key us janib,kisi jangal ki vus’at mein,
kisi parbat key seeney per
gira ho ga kahein malba,
usi khush rang tarey ka
jo ab sey sania bher kabl
roshan tha
chamakta tha,damakta tha,falak per jagmata tha
magar ab us key honey ki nishani tak nahin milti
nazar heiraan hoti hai
keh jo konda sa lipka tha
usey ab kis tarah dhoondhey!kahan dhoondhey!
khala ander khala ik khamoshi hai aur dehshat hai
sitaroon ki guzergahoon mein bas vehshat hi vehshat hai
nazar key vahimey hein ya guman hein
kuch nahin khulta
sitarey toot ker jaatey kahan hein!
kuch nahin khulta
No comments:
Post a Comment