Saturday, July 3, 2010

Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey


Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey
Des ki yaad ney pardesi banaya hai mujhey

goad mai maa ke rakhoon saar mai tarapta hoon bohat
Dant abba ki miley mujhko mai tarasta hoon bohat

bhai bhenoo ki shararat mujhe yaad ati hai
Ghar ki bailoon se mohabbar mujhe yaad ati hai

dost gherey howe rehtey thai hamesha mujhko
kerdia hai meri takdeer ne tanha mujhko

Gardish-e-waqt ne pardes dikhaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

Dhool urata mer bachpan nahi milta mujhko
taaptey jhuloon ke woh saawan nahi mlta mujhko

ishq mai duubi hawaoon se buhat durr hoon mai
husn-e-laila ki adaaoon se buhat durr hoon mai

koi chera jo shana sa yahan miljata hai
chaand weraan si aankhoon mai utar ata hai

esa lagta hai merey ghar ne bulaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

akey pardes mai pheeki howi meethi eidain
pair ki yaad ne jhulsa di meri umedein

deep diwali ke jaalte meri aankhoon mai
meley sawan ke machalte hai meri aankhoon mai

aj bhi pairoon se lipti hai watan ki mitti
yeh meri jism yeh mere chaman ki mitti

durr kiun apni fazaoon se basaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

jaab watan se koi chitthi mere naam ati hai
Raushini mere ehsaas mai lehrati hai

ek ek harf chamakta hai sitara ban ker
dharasein deta hai har dil ko sahara ban ker

likhne wala mujhe kaghaz pe nazar ata hai
ban ke khushboo meri saanson mai sama jata hai

esa lagta hai ke milne koi aaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

aj yaadoon mai gheera soch raha hoon itna
aur jeewan ka yeh banwas hai baki kitna

raas ayeingi mujhey ghar ki fazaien kis din
hongi makbul mere dil ki duaein kis din

kaab mera ghaar mujhe lootayegi kismat meri
kaab meri bahoon mai mehke gi mohabbat meri

en sawalat ke shoolon ne jalaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

1 comment:

Shahid said...

ah kya khuub hasiin nazm hai FAISAL bhai. adh ke besaakhtaa aankhen hii meri bhar aayi.

Popular Posts