Saturday, July 3, 2010

jab zindagi k safar main saharon k taqub main


jab zindagi k safar main,
saharon k taqub main,
chalte chalte hum thak jate hain
aur manzil bhatak jate hain
to aise kamzor lamhon main,
khwaab dilasa dete hain,
yahi sahara bante hain,
aur jab chahat k samunder main,
hum raahein dhoondtein hain,
magher hum apna app bhi kho dete hain
aur jab yaas se dobny lagte hain
to aise bebas lamhoo main,
khwaab dilasa dete hain,
yahi kinara bante hain,
aur jab dil ki chardiwari main,
muqeed dukh dard ko khamoshi se seh ker,
man panchi ghutan mehsoos kerta hai,
khushi-o-roshni ki aas kerta hai,
to aise sarab lamhon main,
khwaab dilasa dete hain,
yahi darwaza bante hain,
aur jab pyar ki bazi main,
hum apna sab kuch kho dete hain,
aur khali hath-o-nigahon se,
zeesth guzarni parthi hai,
to aise mayoos lamhon main,
khwaab dilasa dete hain
yahi asasa bente hain

No comments:

Popular Posts