uljhi hui bashar ki nazar hai saraab mein
bedaar khud ko samjha hai, ghaafil hai khaab mein
aata hai roo-e-yaar nazar yoon hijaab mein
khursheed ki tajalli ho jaise sahaab mein
sheereen labon kay lams se uqda yeh hal hua
narmi kahaan se aayee hai barg-e-gulaab mein
tashbeeh roo-e-yaar se main doon to kis tarah
kitne ayan hain daagh rukh-e-mahtaab mein
mahram hai dil ke raaz ka har gohar-e-basar
qulzum ki dastaan nihaan hai habaab mein
chubhti hai dil mein aaj bhi asghar ki tashnagi
pinhaan hai karbala ki kasak jaam-e-aab mein
quwat hai woh jo antar-o-marhab ko kaat dey
naan-e-shaeer hai shikam-e-boo turaab mein
sajda malaaeka ne kiya is ko bil-yaqeen
insaan ki dastaan hai ummul-kitaab mein
aay phool kis ko dekh ke shabnam fana hui
tasveer kis ki hai waraq-e-aaftaab mein
No comments:
Post a Comment