Lehrein bhi samundar se ruth chuki hain
Ankhonse aanson bhi toot chuke hain
jis rahpe thi hamari nazar wo rahein bhi mit chuki hain gehra hua tha asmaa baadlonse suraj ki roshni bhi zamee se chuphi hoi thi hum apni parchai kaise dekhte raat ke andhere mein chand ko baadlone ghair rakhkha tha
tab koi na tha jo mujhe ek jiney ki aas deta lekin
Tumne bhi hamara saat chhor rakhkha tha
Hawaone bhi Teri mehek Lana chhordya shaed hawaone bhi apna rukh meri mohabbat se mor rakhkha tha
Bewafa
Bewafa kaun tha
Shaed koi Kisi ke lyeh hi Na tha
Yeh naam banaaye the dunya waloon ne
Inka naam hi reh Jana hi kafi tha
No comments:
Post a Comment