Saturday, July 3, 2010

Ub bhi hamain woh ghataain yaad ati hain


Ub bhi hamain woh ghataain yaad ati hain
Dharti maan ki woh sadaain yaad ati hain

Woh rataain jo is pak sarzameen per guzrin
unhi raaton ki thandi hawaain yaad ati hain

Ghar se dur main kisi aur dees betha hun
Apney watan ki mo-attar fazaain yaad ati hain

Woh jin ko piyaar hai is ghareeb-ul-watani se
Un ko bhi aksar apni maain yaad ati hain

Wahan ke paniyon main jo mohabbat pinha hai
Udhar ki must mojon ki adaain yaad ati hain

Jis ne mohabbat main watan ki jaan tuk de di
Us mard-e-momin ki wafaain yaad ati hain

Tum ko is matti ki kasam laut ao ehsaas!
Tumhain di hui woh sub sazaain yaad ati hain

No comments:

Popular Posts