Monday, July 26, 2010

Dhundne Jis Mein Zindagi Nikli Wo Usi Shakhs Ki Gali Nikli


Dhundne Jis Mein Zindagi Nikli,
Wo Usi Shakhs Ki Gali Nikli,

Tere Lehje Mein Kya Nahi Tha Magar,
Sirf Sach Ki Zara Kami Nikli,

Uski Aankhon Ka Rang Gehra Hai,
Aur Main Halki Sanwli Nikli,

Wo Jo Lagti Thi Kaanch Ki Gudiya,
Zarb Padne Se Aahni Nikli,

Us Haweli Mein Shaam Dhalne Par,
Har Dareeche Se Roshni Nikli,

Wo Hawa To Nahi Thi Ladki Thi,
Kis Liye Itni Sar Phiri Nikli,

Wo Tere Aasman Ka Kya Karti,
Jiski Mutthi Se Dosti Nikli,

Umar Pardah Nasheen Nahi Hoti,
Jab Dhali Sar Se Chandni Nikli...

No comments:

Popular Posts