Kuch To Hawa Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dilko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi,
Baat Woh Aadhi Raat Ki, Raat Wo Pure Chand Ki,
Chand Bhi Ain Cheet Ka Uspe Tera Jamaal Bhi,
Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujhko Kuch Aise Dekhta,
Ek Dafa To Ruk Gayi Gardash-E-Maa-O-Saal Bhi,
Dil To Chamak Sakega Kya, Phir Bhi Tarsh Ke Dekh Le,
Sheesha Garan-E-Shaher Ke Haath Ka Ye Kamal Bhi,
Usko Na Paa Sake The Jab Dilka Ajeeb Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhe, Baat Thi Kuch Muhaal Bhi,
Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahi Mila To Phir,
Haath Dua Se Yun Gira, Bhool Gaya Sawal Bhi,
Uski Sakhan Taraziyan Mere Liye Bhi Dhal Thi,
Uski Hansi Mein Chhup Gaya Apne Gamon Ka Haal Bhi,
Ja Qareeb-E-Sha'rag, Ja Bahid-E-Wa'am-O-Khwab,
Uski Rafaqaton Mein Raat, Hijr Bhi Wasl Bhi,
Uske Baazoun Mein Aur Usi Ko Sochte Rahe,
Jismki Khwahishon Pe The Rooh Ke Aur Jaal Bhi,
Shaam Ki Na Samajh Hawa Puchh Rahi Hai Ek Pata,
Mauj-E-Hawaye Koo'ey Yaar, Kuch To Mera Khayal Bhi..
No comments:
Post a Comment