Monday, July 26, 2010

Mujhe Ab Laut Jaana Hai Achanak Ab Toot Jaana Hai


Mujhe Ab Laut Jaana Hai,
Achanak Ab Toot Jaana Hai,
Ke Mere Des Se Aage Koi Pardes Mera Muntazir Hai,
Uar Mere Dostone Mere Hathon Mein,
Safar Ka Zaad Bhi Pakda Diya Hai,
Guzishta Kal Ki Sab Baatein Bhulae Jaa Raha Hoon,
Par Wo Baatein Jo Tere Hasas Chehre Par Numayein Thi,
Wo Saare Lafz Jo Ashqon Ki Surat Aankh Mein Utre,
Tere Khamosh Paykar Mein Chhupe Gamnaak Afsane,
Teri Guftaar Ki Rimjhim,
Teri Riftaar Ke Mausam,
Tere Kirdaar Ka Moti,
Tere Dilse Ubalte Khoon Ke Beawaz Se Nagme,
Tere Chehre Ke Khaal-O-Khad, Nigahon Mein Chhupe Dariya,
Tere Ehsaas Ki Shiddat,
Tere Jazbaat Ki Hiddat,
Main Sab Kuch Yaad Rakhunga,
Teri Khamosh Awazein,
Mere Mazi Ke Hissa Bankar Bhrengi,
Mujhe Ab Laut Jaane De,
Achanak Toot Jaane De...

1 comment:

Sanny said...

very nice...... i like it.

Popular Posts