meray ahsas k aangan mai utar janay ka
gham ko aata hai hunar dil mera behlanay ka
faida kutch bhi nahee'n zakhmo'n ko dikhlanay ka
aitebar usko kabhi ham pay nahee'n aanay ka
baat dil ki mai bhala kaisay mai teray sath karoo'n
harr gharhi tujh pe ghuma'n hai kisi baighanay ka
tera qissa bhi naye morh pay aaya shayad
rukh badalnay ko hai ab meray bhi afsanay ka
khud ko samjha to liye mainay magar ai hamdam
kutch sabab to hai teray rooth k you'n janay ka
apni socho'n k darichay ko khula rakkh "Naheed"
ik yahi raasta hai taza hawa aanay ka
No comments:
Post a Comment