Wednesday, July 28, 2010

wo Khvaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin


wo Khvaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisii se kyaa bichha.D gaye ki jaise kuchh bachaa nahiin

vo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar me.n ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

No comments:

Popular Posts