Yeh tajarubaa bhi karon yeh bhi ker dikhlaon main
K khud ko yaad rakhon us ko bhool jaaon main
Faraib-e-kaar mein kuchh to hai koi baat to hai
K jaan boojh k itne faraib khaon main
Woh pal kahaan hain ju duniyaa se jorta tha mujhe
Jo paon tujh ko to sab ke qareeb aaon main
Kabhi to ho mere ehasaas-kam-tarii mein kami
Kabhi to ho ki use khul ke paaon main
Wo shakhs hai ki naseem-e-sahar kaa jhonka hai
Bikhar hi jaon ju us ko gale lagaaon main
Azaan ke baad duaa ko jo haath uthaye woh
"Imam" apni namaazein bhi bhool jaon main
2 comments:
Great Poetry Faisal. i SALUTE
great Poetry
Post a Comment