Wednesday, July 28, 2010

Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha


Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha
Wo shakhs lehja barha ba kamal rakhta tha

Hansi labon pe dil mein malaal rakhta tha
Ajeeb shakhs tha sheeshey mein baal rakhta tha

Tera firaaq hamesha azaab e jaan tha magar
Tera wisaal bhi mujh ko nidhaal rakhta tha

Kissi ke chehra e pur noor ka jawab nahin
Andheri raat mein sooraj nikaal rakhta tha

Wo barson baad milla bhi to es tarah se milla
Labon pe chup thi nazar mein sawaal rakhta tha

Bulandion se gira hoon to ye maloom hooa
Urooj apney hi ander zawaal rakhta tha

Chamakney waali har ek cheez ko sona samjha
Kuch es tarah ka wo zoq e jamaal rakhta tha

Tera sunehri tassawur, tera sunehri khyaal
Na janey kyoon meri aankhon ko laal rakhta tha

Mera wehem dabota raha har baar mujhey
Mera yaqeen hamesha uchaal rakhta tha....

No comments:

Popular Posts