ek musalsal azaab le jaanaa
merii aaNkhoN ke Khvaab le jaanaa
faasile jab fareb dene lageN
qurbatoN ke saraab le jaanaa
lauT aanaa kabhii jo mumkin ho
aur yaadoN ke baab le jaanaa
is se pahle ke rut badal jaaye
apne saare gulaab le jaanaa
tishnagii, aas, tiirgii “Zahid”
ko’ii to iztiraab le jaanaa
No comments:
Post a Comment