Friday, August 6, 2010

tumhari poron ka lams ab tak meri kaf-e-dast par hay



tumhari poron ka lams ab tak
meri kaf-e-dast par hay
aur mai yeh sochta hoon
woh lamhay kitnay darogh-go thay
woh keh gaey thay
keh ab kay jo haath tairay haathon ko chhu gaey haiN
tamaam hontoN kay saaray lafzon say mu’tabar haiN
woh keh gaey thay
tumhari porain
jo meray haathon ko chhu rahi theeN
woh to qismat-taraash haiN
aur apni qismat ko
saaray logoN ki qismatton say buland jaano
hamaari maano
to ab kisi aur haath ko haath matt lagana
mai uss samay say
tamaam haathon
woh haath bhi
jin mai phool
shaakhon say barrh kay lutf-e-namu utthaaeyn
woh haath bhi jo sada kay mehroom thay
aur un ki hathailiyaan zakham zakham theeN
aur woh haath bhi jo chiraagh jaisay thay
aur rastay mai sang farsang ki tarah jaa-bajaa gaRay thay
woh haath bhi
jin kay naakhunoN kay nishaaN
ma’soom gardanoN par misaal-e-toq-e-sitam parray thay
tamaam na-meharbaan aur meharbaan haathon say
dast-kash yuN ho raha hoon jaisay
yeh mutthiyaaN mainay khol deeN to
woh saari sachhaayyoN kay motti
musarratton kay tamaan jugnu
jo bay-yaqeeni kay janglon mai
yaqeen ka raasta banaatay haiN
roshni ki lakeer ka qaafla banatay haiN
meray haathon say rooTh jaaeyn gay
phir na taaza hawa chalay gi
na koi shama-e-sada jalay gi
mai zabt aur intezaar kay iss hissaar mai mudatton raha hoon
magar jab aik shaam
aur woh patt-jhaR ki akahri shaam thi
hawa apna aakhri geet ga rahi thi
meray badan mai mera lahu khushk ho raha tha
to mutthiyaaN main nay khol deeN
aur mai nay daikha
keh meray haathon mai
koi jugnu
na koi motti
hathailiyon per faqat meri naa-muraad aankhain dhari huwi theeN
aur unn mai
qismat ki sab lakeerain mari huwi theen

No comments:

Popular Posts