Shaam e gham jab bikhar gai ho gi
janay kis kis kay ghar gai ho gi ?
itni larzaan na thi chiraagh ki lau,
apnay saye say dar gayee ho gi
chandini ik shab ki mehmaan thi
subah hootay hi mar gayi ho gi
dair tuk wo khafa rahay hum se
door tuk ye khabar gayi ho gi
aik darya ka rukh badaltay hi
aik nadi phir utar gayi ho gi
jiss tarhaan woh safar pe nikla tha
sari rounaq udhar gayi ho gi
raat souraj ko dhoondnay kay liye
ta ba hud e sehar gayi ho gi
mairi yadoon ki dhoop chaoon mein
uss ki sourat nikhar gayi ho gi
ya taluq na nibha saka uss say
ya tabiyaat hi bhar gayi ho gi
tairi pal bhar ki dosti mohsin,
uss ko badnaam kar gayi ho gi
No comments:
Post a Comment